kar liya din mein kaam aaTh se panch
ab chale daur-e-jam aaTh se panch
chand hai aur aasman hai saf
rahiye baala-e-baam aaTh se panch
ab to hum ban gae hain ek machine
ab hamara hai nam aaTh se panch
sher kya shairi ke bare mein
sochna bhi haram aaTh se panch
kuchh KHariden to bhaw panch ke aaTh
aur bechen to dam aaTh se panch
wo mile bhi to bas ye puchhenge
kuchh mila kaam-wam aaTh se panch
sohbat-e-ahl-e-zauq hai 'basir'
ab sunao kalam aaTh se panch
Ghazal
Kar liya din mein kaam aaTh se panch
Basir Sultan Kazmi