kar ke sang-e-gham-e-hasti ke hawale mujh ko
aaina kahta hai ab dil mein chhupa le mujh ko
main na dariya hun na sahil na safina na bhanwar
dawar-e-gham kisi sanche mein to Dhaale mujh ko
ek tabassum ke ewaz hech nahin jins-e-wafa
hans ke jo baat kare apna bana le mujh ko
itna bharpur kahan tha mere gham ka izhaar
ajnabi lagte hain ab apne hi nale mujh ko
main wo gul hun jo mahakta hai sar-e-shaKH-e-hayat
kyun koi apne gireban mein saja le mujh ko
jaane kis dasht ke kanTon ne pukara hai 'jalil'
liye jate hain kahin panw ke chhaale mujh ko
Ghazal
Kar ke sang-e-gham-e-hasti ke hawale mujhko
Hasan Akhtar Jaleel