kar ke qaul-o-qarar kya kahna
o faramosh-kar kya kahna
ho ke nadim gunah se pak hua
wah re sharmsar kya kahna
kaam bigDe tu hi banata hai
ai mere kirdgar kya kahna
KHub tu ne suni lagi dil ki
wah re gham-gusar kya kahna
din ko tare dikha diye tu ne
ai shab-e-intizar kya kahna
KHak mein bhi mila ke ai zalim
na kiya eatibar kya kahna
dil-e-hasrat-zada raha na raha
us ka qaul-o-qarar kya kahna
us se haal-e-gham-e-dil-e-mazlum
jo na ho sharmsar kya kahna
ba-wafai bhi teri ai dil-e-zar
rah gai yaadgar kya kahna
na sune ek bar jo dil ki
us se phir bar bar kya kahna
KHum ke KHum 'shauq' kar diye KHali
ai mere baada-KHwar kya kahna

Ghazal
Kar ke qaul-o-qarar kya kahna
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq