kar ke mashur mujhe chashm-e-karam se pahle
kar diya mohr-ba-lab us ne sitam se pahle
ek hamin ko nahin nakaami-e-qismat ka gila
na-murad aur bhi kuchh guzre hain hum se pahle
main KHatawar hun lekin meri taqsir muaf
aah kab munh se nikalni hai sitam se pahle
tu ne gham de ke mujhe daulat-e-duniya de di
zindagi aisi kahan thi tere gham se pahle
pesh hai marhala-e-saKHt KHuda KHair kare
but-kada rah mein paDta hai haram se pahle
koi samjha na haqiqat ke rumuz-o-asrar
koi pahuncha na teri bazm mein hum se pahle
qafile bhaTke hue manzil-e-maqsud se the
band thi rah mere naqsh-e-qadam se pahle
khel samjha tha magar tark-e-mohabbat ai 'saif'
ghaur anjam pe karna tha qasam se pahle
Ghazal
Kar ke mashur mujhe chashm-e-karam se pahle
Saif Bijnori