kar ke dil ko shikar aankhon mein
ghar kare hai tu yar aankhon mein
chashm-e-bad dur ho nazar na kahin
hai nipaT hi bahaar aankhon mein
aur sab chehra-baziyon ke siwa
ishwa hai sad-hazar aankhon mein
kya kahun kuchh kahi nahin jati
baaten hain be-shumar aankhon mein
jis ghaDi ghurte ho ghussa se
nikle paDta hai pyar aankhon mein
tir-e-mizhgan dilon ke par hue
hai ye guzar o guzar aankhon mein
yar tere liye ye gauhar-e-ashk
the bara-e-nisar aankhon mein
ashk-e-KHunin ke ye nahin qatre
ye rahe hain sharar aankhon mein
dekhna Tuk 'asar' se nazren mila
kya hue the qarar aankhon mein
Ghazal
Kar ke dil ko shikar aankhon mein
Meer Asar

