kar imtihan Tuk ho ke tu KHunKHar yak taraf
main aaj yak taraf hun tere yar yak taraf
insaf hai ki ghair se sohbat rakhe tu garm
baiTha rahun main misl-e-gunahgar yak taraf
sikhe ho kis se sach kaho pyare ye chaal-Dhaal
tum yak taraf chalo ho to talwar yak taraf
naz o karishma ishwa-o-andaz aur ada
main yak taraf hun itne sitamgar yak taraf
kis baat par teri main karun e'tibar hae
iqrar yak taraf hai to inkar yak taraf
dekhen pirowe kaun bhala silk-e-laKHt-e-dil
main ek taraf hun abr-e-guhar-bar yak taraf
'qaem' har ek kuche mein hai turfa-taziya
yusuf tere ki garmi-e-bazar yak taraf
dallal ek samt ko munh se malen hain KHak
sar piTte phiren hain KHaridar yak taraf
Ghazal
Kar imtihan Tuk ho ke tu KHunKhaar yak taraf
Qayem Chandpuri