kar gaya mere dil-o-jaan ko moattar koi
chhu ke is tarah se guzra mujhe aksar koi
jitni nazren thin usi shaKHs mein uljhi hui thin
ja raha tha sar-e-bazar sambhal kar koi
kaun sa hadisa guzra nahin us par is bar
aur wo hai ki shikayat nahin lab par koi
dil ko dil un ki nigahon ne banaya warna
aisa be-dard tha dil jaise ki patthar koi
chand taron pe nazar Thahre to yun lagta hai
tere jaisa hai pas-e-parda-e-manzar koi
waqt Thahra hua lagta tha sar-e-rahguzar
is tarah dekh raha tha mujhe muD kar koi
husn shirin mein bhi tha husn to azra mein bhi tha
na hua mere trahdar ka ham-sar koi
aaina apne muqaddar pe na kyun naz kare
muD ke ek bar use dekhe jo sanwar kar koi
kitne tufan chhupe hain tah-e-har-mauj 'bashir'
aaj ka daur hai ya jaise samundar koi
Ghazal
Kar gaya mere dil-o-jaan ko moattar koi
Bashir Farooqi