kar diya dahr ko andher ka maskan kaisa
har taraf nam kiya aap ne raushan kaisa
lag gai ek jhaDi jab mera ji bhar aaya
log sawan ko liye phirte hain sawan kaisa
duKHtar-e-raz se ulajhte ho ye kya hazrat-e-shaiKH
banda-parwar ye buDhape mein laDakpan kaisa
dost hi tha jise 'natiq' na hui kuchh parwa
warna roya hai mere haal pe dushman kaisa
Ghazal
Kar diya dahr ko andher ka maskan kaisa
Natiq Gulavthi