kar chuka qaid se jis waqt ki aazad mujhe
hath malta hi raha dekh ke sayyaad mujhe
umr bhar yun to kabhi li bhi na karwaT pas-e-marg
haif rah-rah ke kiya karte hain ab yaad mujhe
hukm darban ko hai zinhaar na aane pae
ghair ke samne karte hain magar yaad mujhe
baghban gulshan-e-alam ka main wo bulbul hun
taer-e-sidra kaha karta hai ustad mujhe
ham-safiron ko mera haal khulega pas-e-marg
dekhna dil mein karenge wo bahut yaad mujhe
sahn-e-gulshan mein mere phul karenge gulchin
roega suna qafas dekh ke sayyaad mujhe
rah-e-ulfat mein mulaqat hui kis kis se
dasht mein qais mila koh mein farhad mujhe
ghaib se hote hain ilqa mere dil mein mazmun
dekh faizan suKHan ka hai KHuda-dad mujhe
sabz bagh aata hai duniya ka nazar jab 'rana'
yaad aati hai bahut hasrat-e-shaddad mujhe
Ghazal
Kar chuka qaid se jis waqt ki aazad mujhe
Mardan Ali Khan Rana