اردو हिंदी
Kar apni baat ki pyare kisi ki baat se kya | Shaahi Shayari
kar apni baat ki pyare kisi ki baat se kya

Ghazal

Kar apni baat ki pyare kisi ki baat se kya

Umar Ansari

;

kar apni baat ki pyare kisi ki baat se kya
liya hai kaam bata tu ne is hayat se kya

yahan to jo bhi hai rahi hai band galiyon ka
nikal ke dekha hai kis ne hisar-e-zat se kya

thi band band bahut guftugu-e-yar magar
khule hain uqda-e-dil us ki baat baat se kya

wo chup lagi hai ki hansta hai aur na rota hai
ye ho gaya hai KHuda jaane dil ko raat se kya

ye raaz-e-dair-o-haram hai kisi ko kya malum
kahaniyon ko ilaqa hai waqiat se kya

shikast ka to kisi ko jahan guman bhi na tha
nikal gae hain wo maidan hamare hat se kya

hain roz-e-abr ke mushtaq-e-did to lakhon
liya hai kis ne magar abr ke sifat se kya

har ek to apni gharaz le ke hum se milta hai
uThaen faeda kis ke talluqat se kya

koi to maqsad-e-sher-o-adab bhi hoga 'umar'
na hon jo kaam ki aisi nigarshat se kya