اردو हिंदी
KapDe badal ke aae the aag mujhe laga gae | Shaahi Shayari
kapDe badal ke aae the aag mujhe laga gae

Ghazal

KapDe badal ke aae the aag mujhe laga gae

Mushafi Ghulam Hamdani

;

kapDe badal ke aae the aag mujhe laga gae
apne libas-e-surKH ki mujh ko bhaDak dikha gae

baiThe ada se ek pal naz se uTThe phir sambhal
pahlu chura gae nikal ji hi mera jala gae

rakhte hi dar se pa barun le gae sabr aur sukun
fitna-e-KHufta tha junun phir wo ise jaga gae

mujh ko to kaam kuchh na tha go ki wo the pari-laqa
bar-e-KHuda ye kya hua kyun wo mujhe sata gae

hai ye ajab tarah ki baat kyunki na maliye apne hath
dil pe hamare wo to raat chauki si ek biTha gae

sehr kiya ki ToTka aai ye wae kya bala
hae ye ji kidhar chala zor-e-ada dikha gae

garche na the kuchh itne garm lek dikha ada-e-sharm
dil ko lage jo narm narm saKHt qalaq laga gae

aawenge phir bhi 'mushafi' dekhne mere ghar kabhi
aTka hai ab to un se ji garche wo munh chhupa gae