kanware aansuon se raat ghael hoti rahti hai
sitare jhaDte rahte hain rehearsal hoti rahti hai
siyasi mashq kar ke tum to dilli lauT jate ho
yahan sahme hue logon mein halchal hoti rahti hai
wahan rakkhe hue mohre barabar marte rahte hain
idhar kheli hui bazi mukammal hoti rahti hai
main sab kuchh bhul ke jaane ki koshish karta rahta hun
magar guzri hui wo raat pagal hoti rahti hai
na jaane kya KHarabi aa gai hai mere lahje mein
na jaane kyun meri aawaz bojhal hoti rahti hai
Ghazal
Kanware aansuon se raat ghael hoti rahti hai
Ahmad Kamal Parwazi