اردو हिंदी
Kanar-e-dasht akele Thaharne par hoga | Shaahi Shayari
kanar-e-dasht akele Thaharne par hoga

Ghazal

Kanar-e-dasht akele Thaharne par hoga

Javed Shaheen

;

kanar-e-dasht akele Thaharne par hoga
dilon mein KHauf ka andaza Darne par hoga

samajhta hai meri aadat wo husn-e-be-parwa
sameT lunga use jab bikharne par hoga

payam de na saki gul ka bu-e-sust-KHiram
na jaane ab kahan mausam guzarne par hoga

kahin pe kai kahin habs aur kahin daldal
ye haal shahr ka pani utarne par hoga

main sochta hun daraKHton ki chhanw mein 'shahin'
ki tai tamam safar sirf karne par hoga