kanar-e-bahr hai dekhunga mauj-e-ab mein sanp
ye waqt wo hai dikhai de har hubab mein sanp
wo kaun tha mera ham-zad tu na tha kal raat
jab us ke nam ko puchha kaha jawab mein sanp
use mazahir-e-hasti se saKHt ulfat thi
mila wo shaKHs chhupae hue naqab mein sanp
guzishta raat mujhe paDhte waqt wahm hua
waraq pe harf nahin hain ye hain kitab mein sanp
ye Dhalti raat ye kamre mein gunjta sahra
umaDta KHauf hai dil mein ki pech-o-tab mein sanp
tamam jalwa-e-wahdat hai sham ho ki sahar
hai jis hisab mein sahra usi hisab mein sanp
Ghazal
Kanar-e-bahr hai dekhunga mauj-e-ab mein sanp
Shamsur Rahman Faruqi