kamron mein chhupne ke din hain aur na barahana raaten hain
ab aapas mein karne wali aur bahut si baaten hain
lazzat aur yaktai ka ek jhonka aaya bit gaya
phir se apne apne dukh hain apni apni zaten hain
qurbat ki lazzat jaise barish mein patthar rakkha ho
andar sahra jaisa mausam aur bahar barsaten hain
mom sa nazuk paikar us ka hath lage aur ghul jae
mere jism mein jalne wali KHwahish ki saughaten hain
aaj mile to yun lagta hai aaj ke baad nahin milna
sans bhi lene ki nahin fursat ukhDi ukhDi baaten hain
aaKHir koi paDh hi lega ruswai ki tahriren
ye mere chehre ki lakiren kuchh jiten kuchh maten hain
ab jin ko taKHliq ke fan ka dawa hai 'shahzad' bahut
TuTe hue qalam hain un ke sukhi hui dawaten hain
Ghazal
Kamron mein chhupne ke din hain aur na barahana raaten hain
Shahzad Ahmad