اردو हिंदी
Kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha | Shaahi Shayari
kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha

Ghazal

Kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha

Abrar Azmi

;

kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha
kal raat koi phir mera mehman bana tha

bistar mein chali aaen machalti hui kirnen
aaghosh mein takiya tha so anjaan bana tha

wo main tha mera saya tha ya sae ka saya
aaina muqabil tha main hairan bana tha

nazron se churaata raha jismon ki halawat
sunte hain koi sahib-e-iman bana tha

naddi mein chhupa chand tha sahil pe KHamoshi
har rang lahu-rang ka zindan bana tha

harfon ka bana tha ki maani ka KHazina
har sher mera bahs ka unwan bana tha