kamre ki diwaron par aawezan jo taswiren hain
ahd-e-guzishta ke KHwabon ki bikhri hui tabiren hain
un ke KHat mahfuz hain ab tak mere KHutut ki file mein
qasmen wade ahd o paiman pyar bhari tahriren hain
hath ki rekha dekhne wale mera hath bhi dekh zara
bar aaen ummiden jin se aisi kahin lakiren hain
phir ye kis ne apna kah kar di hai sada ek wahshi ko
zindan jis ke shor se larza panw paDi zanjiren hain
'shams' ki haalat ka mat puchho kuchh din se ye haal hua
har dam tanha soch mein baiThe daman apna chiren hain
Ghazal
Kamre ki diwaron par aawezan jo taswiren hain
Shams Farrukhabadi