kamra to ye kahta hai kuchh aur hawa aae
khiDki se na guzre to diwar haTa aae
sar par hai safar itna KHamosh ho tum jitna
jite ho ki marte ho koi to sada aae
aage jo qadam rakkha pichhe ka na gham rakkha
jis rah se hum guzre diwar uTha aae
ai muntazim-e-hasti! ek chhoTi si KHwahish hai
us din mujhe jine de jis roz qaza aae
ab us ko numu dekhen deta hai shajar kaise
TuTi hui kuchh shaKHen miTTi mein daba aae
Ghazal
Kamra to ye kahta hai kuchh aur hawa aae
Haleem Qureshi