kamar ki baat sunte hain ye kuchh pai nahin jati
kahe hain baat aisi KHayal mein mere nahin aati
jo chaho sair-e-dariya waqf hai mujh chashm ki kashti
har ek mu-e-palak mera hai goya ghaT KHairaati
ba-rang us ke nahin mahbub dil rone ko aashiq ke
saadat KHan hai laDka waza kar leta hai barsati
jo koi asli hai ThanDa garm yaquti mein kyunkar ho
na lawe tab tere lab ki jo namard hai zati
na dekha bagh mein nargis nin tujh kun sharm jaane sin
isi gham mein hui hai sar-nigun wo waqt nahin pati
kahan mumkin hai 'naji' sa ki taqwa aur salah aawe
nigah-e-mast-e-KHuban wo nahin leta KHarabaati
Ghazal
Kamar ki baat sunte hain ye kuchh pai nahin jati
Naji Shakir