kamar bandhe hue chalne ko yan sab yar baiThe hain
bahut aage gae baqi jo hain tayyar baiThe hain
na chheD ai nikhat-e-baad-e-bahaari rah lag apni
tujhe aTkheliyan sujhi hain hum be-zar baiThe hain
KHayal un ka pare hai arsh-e-azam se kahin saqi
gharaz kuchh aur dhun mein is ghaDi mai-KHwar baiThe hain
basan-e-naqsh-e-pa-e-rah-rawan ku-e-tamanna mein
nahin uThne ki taqat kya karen lachaar baiThe hain
ye apni chaal hai uftadgi se in dinon pahron
nazar aaya jahan par saya-e-diwar baiThe hain
kahen hain sabr kis ko aah nang o nam hai kya shai
gharaz ro piT kar un sab ko hum yak bar baiThe hain
kahin bose ki mat jurat dila kar baiThiyo un se
abhi is had ko wo kaifi nahin hushyar baiThe hain
najibon ka ajab kuchh haal hai is daur mein yaro
jise puchho yahi kahte hain hum bekar baiThe hain
nai ye waza sharmane ki sikhi aaj hai tum ne
hamare pas sahab warna yun sau bar baiThe hain
kahan gardish falak ki chain deti hai suna 'insha'
ghanimat hai ki hum surat yahan do-chaar baiThe hain
Ghazal
Kamar bandhe hue chalne ko yan sab yar baiThe hain
Insha Allah Khan u0027Inshau0027