kamand-e-halqa-e-guftar toD di main ne
ki mohr-e-dast-e-qalamkar toD di main ne
riwayaton ko salibon se kar diya aazad
yahi rasan to sar-e-dar toD di main ne
ye mere hath hain aur be-shanaKHt ab bhi nahin
ye aur baat hai talwar toD di main ne
safine hi ko main shoala dikha ke nikla tha
jo apne hath se patwar toD di main ne
tahakkumana ada aur faisle dil ke
kaman-e-abru-e-KHam-dar toD di main ne
girah girah jo kahin aur rishta rishta kahin
ye rasm-e-subha-o-zunnar toD di main ne
wo daeron se jo bahar na aa sake 'tanwir'
wo rasm-e-gardish-e-parkar toD di main ne
Ghazal
Kamand-e-halqa-e-guftar toD di maine
Tanveer Ahmad Alvi