kaman pe chaDh ke ba-shakl-e-KHadang hona paDa
harif-e-amn se masruf-e-jang hona paDa
yahan thi dushmani insan se pyar patthar se
mujhe bhi aaKHirash ek rose sang hona paDa
hasad ki aag mein jal jal ke log marne lage
mujhe sameT ke wusat ko tang hona paDa
raha jo bar-sar-e-paikar mein muqaddar se
to us harif ko hairan-o-dang hona paDa
zamana rose mera zabt aazmata tha
mare mizaj ko yun shola-rang hona paDa
bahut ghurur tha pairak hone ka jin ko
unhen 'zamir' shikar-e-nahang hona paDa
Ghazal
Kaman pe chaDh ke ba-shakl-e-KHadang hona paDa
Zameer Atraulvi