kaman na tir na talwar apni hoti hai
magar ye duniya ki har bar apni hoti hai
yahi sikhaya hai hum ko hamare logon ne
jo jang jite wo talwar apni hoti hai
zaban chiDiyon ki duniya samajh nahin sakti
qubul-o-rad ki ye takrar apni hoti hai
na hath sukh ke jhaDte hain jism se apne
na shaKH koi samar-bar apni hoti hai
jo hath aae use raund kar chala jae
guzarte waqt ki raftar apni hoti hai
jagah jagah se niwale uThane paDte hain
talash-e-rizq ki begar apni hoti hai
Ghazal
Kaman na tir na talwar apni hoti hai
Azlan shah