kaman chhoD gae be-nazir jitne the
lage hain Thik nishane pe tir jitne the
fasad rokne kam-zarf log pahunche hain
gharon mein rah gae raushan zamir jitne the
unhen jala diya sanjidgi ke suraj ne
hamare ahd ke bachche sharir jitne the
thakan utar rahe the nae safar ke liye
safar se aae hue rahgir jitne the
mere bayan pe ehsas ho gae zaKHmi
agar bache hain to bas be-zamir jitne the
baDi lakir barabar mein khinch aaya tha
mile hain hum se bhi chhoTi lakir jitne the
qadam hi ruk gae 'akmal' bas ek fire par
farar ho gae hote asir jitne the
Ghazal
Kaman chhoD gae be-nazir jitne the
Akmal Imaam