kamal-e-zabt ko KHud bhi to aazmaungi
main apne hath se us ki dulhan sajaungi
supurd kar ke use chandni ke hathon mein
main apne ghar ke andheron ko lauT aaungi
badan ke karb ko wo bhi samajh na paega
main dil mein roungi aankhon mein muskuraungi
wo kya gaya ki rifaqat ke sare lutf gae
main kis se ruTh sakungi kise manaungi
ab us ka fan to kisi aur se hua mansub
main kis ki nazm akele mein gungunaungi
wo ek rishta-e-benam bhi nahin lekin
main ab bhi us ke ishaaron pe sar jhukaungi
bichha diya tha gulabon ke sath apna wajud
wo so ke uTThe to KHwabon ki rakh uThaungi
samaaton mein ghane jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri aawaz sun na paungi
jawaz DhunD raha tha nai mohabbat ka
wo kah raha tha ki main us ko bhul jaungi
Ghazal
Kamal-e-zabt ko KHud bhi to aazmaungi
Parveen Shakir