اردو हिंदी
Kamal-e-tark nahin aab-o-gil se mahjuri | Shaahi Shayari
kamal-e-tark nahin aab-o-gil se mahjuri

Ghazal

Kamal-e-tark nahin aab-o-gil se mahjuri

Allama Iqbal

;

kamal-e-tark nahin aab-o-gil se mahjuri
kamal-e-tark hai tasKHir-e-KHaki o nuri

main aise faqr se ai ahl-e-halqa baz aaya
tumhaara faqr hai be-daulati o ranjuri

na faqr ke liye mauzun na saltanat ke liye
wo qaum jis ne ganwai mata-e-taimuri

sune na saqi-e-mehwash to aur bhi achchha
ayyar-e-garmi-e-sohbat hai harf-e-mazuri

hakim o aarif o sufi tamam mast-e-zahur
kise KHabar ki tajalli hai ain-e-masturi

wo multafit hon to kunj-e-qafas bhi aazadi
na hon to sehn-e-chaman bhi maqam-e-majburi

bura na man zara aazma ke dekh ise
farang dil ki KHarabi KHirad ki mamuri