kamal-e-ishq dikhane pe ab kamar bandho
nai zamin hai mazamin pur-asar bandho
hisar-e-jism se bahar bhi wusaten hain bahut
chaman ki sair karo titliyon ke par bandho
maza kuchh aur hi aaega dil lagane mein
wafa ki shaKH se ummid ke samar bandho
ghazal ko man liya sab ne aabru-e-suKHan
shuur-o-fikr ke mauzua mo'atabar bandho
ghazal fikr ke aawara ghumte hain 'sahar'
tum un ko la ke kisi roz apne ghar bandho
Ghazal
Kamal-e-ishq dikhane pe ab kamar bandho
Muneeruddin Sahar Saeedi