kamal-e-ilm o tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai
tera idrak mushkil tha tera idrak mushkil hai
ye virani tasawwur ki wo rangini KHayalon ki
kabhi mahfil mein KHalwat hai kabhi KHalwat mein mahfil hai
wo aaina ho ya ho phul tara ho ki paimana
kahin jo kuchh bhi TuTa main yahi samjha mera dil hai
ujala ho to DhunDun dil bhi parwanon ki lashon mein
meri barbaadiyon ko intizar-e-subh-e-mahfil hai
wo dil le kar hamein be-dil na samjhen un se kah dena
jo hain mare hue nazron ke un ki har nazar dil hai
wo ai 'simab' kyun sargashta-e-tasnim-o-jannat ho
mayassar jis ko sair-e-taj hai jamuna ka sahil hai
Ghazal
Kamal-e-ilm o tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai
Seemab Akbarabadi