اردو हिंदी
Kamal-e-husn ka jab bhi KHayal aaya hai | Shaahi Shayari
kamal-e-husn ka jab bhi KHayal aaya hai

Ghazal

Kamal-e-husn ka jab bhi KHayal aaya hai

Aziz Sabri

;

kamal-e-husn ka jab bhi KHayal aaya hai
misal-e-sher tera nam dil pe utra hai

main apne aap ko dekhun to kis tarah dekhun
ki mere gird meri zat hi ka parda hai

main falsafi na payambar ki rah batlaun
har ek shaKHs mujhi se sawal karta hai

ye sach hai main bhi taghayyur ki zad se bach na saka
sawal ye hai ki tu bhi to kitna badla hai

tere KHulus ki chadar simaT gai shayad
mera wajud mujhe ajnabi sa lagta hai

abhi to haalat-e-dil ka sudhaar hai mushkil
abhi to teri judai ka zaKHm taza hai

'aziz' apne tazadat hi miTa Dalo
ye kaun puchh raha hai zamana kaisa hai