kam ulajhti hai charaghon se hawa mere baad
shahr mein shahr ka mausam na raha mere baad
main ne jal kar na diya maslahat-e-waqt ka sath
kya KHabar kaun jala kaun bujha mere baad
sach ki KHatir sar-e-shola bhi zaban rakh deta
baat ye hai koi mujh sa na raha mere baad
Dubna tha so main ek mauj mein pas Dub gaya
aur dariya tha ki bahta hi raha mere baad
phir koi sham-e-shafaq-dida bhi utri ki nahin
meri tanhai ka kya rang hua mere baad
aur kya hashr tha is anjuman-afrozi ka
bas yahi tha ki dhuan aur baDha mere baad
yun main aasuda-e-manzil hun ki ab gard-e-safar
chumti hai mera naqsh-e-kaf-e-pa mere baad
kya bura waqt paDa shahr-e-wafa par 'mahshar'
mujh ko hi DhunDti hai meri wafa mere baad
Ghazal
Kam ulajhti hai charaghon se hawa mere baad
Mahshar Badayuni