kam ranj mausam-e-gul-e-tar ne nahin diya
dil ke kisi bhi zaKHm ko bharne nahin diya
sare hi mustafiz hue us ki zat se
hum ko hi ek phal bhi shajar ne nahin diya
murjha gai hai talKHi-e-haalat se magar
kam hai ki hum ne yaad ko marne nahin diya
jalta charagh-e-dil shab-e-hijran mein der tak
mauqa magar numud-e-sahar ne nahin diya
maKHsus thi bas us ke liye dil ki guzar
hum ne kisi ko yan se guzarne nahin diya
hum par zamin ka ek sitara hai multafit
ruKH par ye nur shams-o-qamar ne nahin diya
kuchh to charagh-e-zist ki lau bhi thi na-tawan
aur kuchh hawa ne us ko ubharne nahin diya
hum bhi the zindagi se gurezan tamam rah
shane pe hath is ne bhi dharne nahin diya
Ghazal
Kam ranj mausam-e-gul-e-tar ne nahin diya
Saleem Faraz