اردو हिंदी
Kam purana bahut naya tha firaq | Shaahi Shayari
kam purana bahut naya tha firaq

Ghazal

Kam purana bahut naya tha firaq

Habib Jalib

;

kam purana bahut naya tha firaq
ek ajab ramz-ashna tha firaq

dur wo kab hua nigahon se
dhaDkanon mein basa hua hai firaq

sham-e-gham ke sulagte sahra mein
ek umanDti hui ghaTa tha firaq

amn tha pyar tha mohabbat tha
rang tha nur tha nawa tha firaq

fasle nafraton ke miT jaen
pyar hi pyar sochta tha firaq

hum se ranj-o-alam ke maron ko
kis mohabbat se dekhta tha firaq

ishq insaniyat se tha us ko
har tassub se mawara tha firaq