اردو हिंदी
Kam-nigahi ka shikwa kaisa apne ya begane se | Shaahi Shayari
kam-nigahi ka shikwa kaisa apne ya begane se

Ghazal

Kam-nigahi ka shikwa kaisa apne ya begane se

Mubarak Shamim

;

kam-nigahi ka shikwa kaisa apne ya begane se
ab hum apne aap ko KHud hi lagte hain anjaane se

muddat guzri Dub chuka hun dard ki pyasi lahron mein
zinda hun ye koi na jaane sans ke aane jaane se

dasht mein tanha ghum raha hun dil mein itni aas liye
koi bagula aa Takrae shayad mujh diwane se

jal-marna to sahl hai lekin jalte rahna mushkil hai
shama ki itni baat to koi ja kah de parwane se

lakh bataya lakh jataya duniya kya hai kaisi hai
phir bhi ye dil baz na aaya KHud hi dhoke khane se

ab to chhu kar dekh na mujh ko apni ThanDi rakh hun main
mumkin hai phir shole bhaDken tere hath lagane se

log sunate hain kuchh qisse mere ahd-e-jawani ke
jaise hon ye KHwab ki baaten hon ye 'shamim' afsane se