kam-nigahi hor taghaful mat kar ai mah-e-tamam
muk tera karta hai ghamza kaam aashiq ka tamam
KHanjar-e-bismil sun dil kun nim-bismil jab kiya
yak nigah-e-lutf sun kar puKHta is ka kar-e-KHam
sar-ba-sar ka yan jahan ke aashiqan kun puchh hain
ishq-bazi ke baghair az kar nakun tu aur kaam
pi sharab-e-nam-e-rindan ta asar sun kaif ke
zikr-e-allah-allah howe gar kahe tu ram ram
o sun tun ho tun so o bhi o so o bhi tun so tun
'qurbi' ye mushkil hai nukta buj tun summal-kalam
Ghazal
Kam-nigahi hor taghaful mat kar ai mah-e-tamam
Qurbi Velori