kam na thi sahra se kuchh bhi KHana-virani meri
main nikal aaya kahan ai wae nadani meri
kya banaun main kisi ko rahbar-e-mulk-e-adam
ai KHizr ye sar-zamin hai jaani-pahchani meri
jaan o dil par jitne sadme hain isi ke dam se hain
zindagi hai fil-haqiqat dushman-e-jaani meri
ibtida-e-ishq-e-gesu mein na thin ye uljhanen
baDhte baDhte baDh gai aaKHir pareshani meri
dasht-e-hasti mein rawan hun muddaa kuchh bhi nahin
kab hui mohtaj-e-laila qais-samani meri
aur tu waqif nahin koi dayar-e-ishq mein
hai junun shaida mera wahshat hai diwani meri
bagh-e-duniya mein yunhi ro hans ke kaTun chaar din
zindagi hai shabnam o gul ki tarah fani meri
baad-e-tark-e-arzu baiTha hun kaisa mutmain
ho gai aasan har ek mushkil ba-asani meri
han KHuda-lagti zara kah de tu ai husn-e-sanam
aashiqi auron ki achchhi ya ki hairani meri
laKHt-e-dil khane ko hai KHun-e-jigar pine ko hai
mezban-e-dahr ne ki KHub mehmani meri
naghma-zan sahra mein ho jis tarah koi andalib
yun hai ai 'mahrum' sarhad mein ghazal-KHwani meri
Ghazal
Kam na thi sahra se kuchh bhi KHana-virani meri
Tilok Chand Mahroom