kaliyon mein tazgi hai na KHushbu gulab mein
pahli si raushni kahan jam-e-sharab mein
puchho na mujh se ishq-o-mohabbat ke silsile
lazzat si mil rahi hai mujhe har azab mein
ye raaz jaanti na thi taron ki raushni
kitna hasin chand chhupa tha naqab mein
do kanpte larazte labon ki nawazishen
lahra ke Dhal gain mere jam-e-sharab mein
hum hain gunahgar magar is qadar nahin
jitne gunah aae hain apne hisab mein
likkhi gai jo mere hi KHwabon ke KHun se
rahi mera hi nam nahin us kitab mein
Ghazal
Kaliyon mein tazgi hai na KHushbu gulab mein
Sohan Rahi