اردو हिंदी
Kaliyon ki tarah dhula dhula hai | Shaahi Shayari
kaliyon ki tarah dhula dhula hai

Ghazal

Kaliyon ki tarah dhula dhula hai

Jamshed Masroor

;

kaliyon ki tarah dhula dhula hai
wo jism shumal mein bana hai

gul-bar hain zulf o shana us ke
qamat mein wo tawil o dilruba hai

lamhon ke samundar mein jaise
bahta hua chand aa raha hai

honTon se wo dekhta hai mujh ko
aankhon se mujhe pukarta hai

guzri hai ramon mein umr meri
hirnon se mera muashiqa hai

'jamshed' sambhal ke us badan par
bas KHanda-e-surKH ki rida hai