kaliyon ki mahak hota taron ki ziya hota
main bhi tere gulshan mein phulon ka KHuda hota
har chiz zamane ki aaina-dil hoti
KHamosh mohabbat ka itna to sila hota
tum haal-e-pareshan ki pursish ke liye aate
sahra-e-tamanna mein mela sa laga hota
har gam pe kaam aate zulfon ke teri sae
ye qafila-e-hasti be-rahnuma hota
ehsas ki Dali par ek phul mahakta hai
zulfon ke liye tum ne ek roz chuna hota

Ghazal
Kaliyon ki mahak hota taron ki ziya hota
Saghar Siddiqui