kali pe rang gulon par nikhaar bhi to nahin
bahaar KHak umid-e-bahaar bhi to nahin
kuchh aisi aag lagi hai mere gulistan mein
yahan shajar koi be-barg-o-bar bhi to nahin
isi fareb mein rahta ki pas hai manzil
sitam to ye hai ki rah mein ghubar bhi to nahin
mujhe zamane ne baKHshi hai wo fareb ki mai
nasha to ek taraf hai KHumar bhi to nahin
samajh mein aati nahin sard-mehri-e-duniya
kisi ke sine mein gham ka sharar bhi to nahin
qarar dil ke liye DhunDhta magar tauba
tere baghair ye ab be-qarar bhi to nahin
nikal to jao jahan-e-KHarab se ai 'arsh'
magar yahan koi ja-e-farar bhi to nahin
Ghazal
Kali pe rang gulon par nikhaar bhi to nahin
Arsh Malsiyani