kali kali ke baja raazdar hain hum log
chaman ko faKHr hai jin par wo KHar hain hum log
lahu se apne gulistan ko sabza-zar kiya
bahut KHulus ke aaina-dar hain hum log
haqir jaan ke Thukra rahe hain ahl-e-chaman
chaman mein apni jagah KHud bahaar hain hum log
kuchh aisa gardish-e-dauran ka dekhte hain fusun
ki aaj ahl-e-gulistan pe bar hain hum log
sitam ye hai ki zamane ka gham uThane par
qarar pate nahin be-qarar hain hum log
yahi hai dawat-e-aish-o-nishat roz-o-shab
KHushi ka zikr nahin ashk-bar hain hum log
hamare ahd-e-guzishta ki dekhiye tariKH
KHud apni shan mein zi-iftiKHar hain hum log
qadam qadam pe masaib uTha rahe hain 'KHizr'
KHuda-gawah ki phir gham-gusar hain hum log

Ghazal
Kali kali ke baja raazdar hain hum log
Khizr Barni