اردو हिंदी
Kali kali ka badan phoD kar jo nikla hai | Shaahi Shayari
kali kali ka badan phoD kar jo nikla hai

Ghazal

Kali kali ka badan phoD kar jo nikla hai

Fazl Tabish

;

kali kali ka badan phoD kar jo nikla hai
wo zindagi ka nahin maut ka taqaza hai

har ek jhuTa payambar hai ye bhi Thik nahin
kahin kahin to magar sab ke sath ghapla hai

main us ka barf badan raundh kar pasheman hun
magar jo dur khaDe hain unhen wo shoala hai

jo thukta hai har ek chiz ko andhere se
kabhi kabhi wahi din mujh mein Dub jata hai

har ek samt ghalazat bhare samundar hain
magar ye main ne kinare khaDe hi samjha hai