kaleja munh ko aaya aur nafas karne laga tangi
hua kya jaan ko meri abhi to thi bhali-changi
zaqan ki chah mein ye sabzi-e-KHat zahr-e-qatil hai
pari hai bhang kue mein na ho kyun KHalq chit-bhangi
jahan ki tarah sau sau rang pal pal mein badalta hai
kabhu kuchh hai kabhu kuchh hai kabhu kuchh hai wo bahu-rangi
tere ruKHsar se be-tarah lipTi jae hai zalim
jo kuchh kahiye to bal kha uljhati hai zulf be-Dhangi
gharibon ka KHuda-hafiz hai 'hatim' dekhiye kya ho
ki wo hai chur kaifi hath mein shamshir hai nangi
Ghazal
Kaleja munh ko aaya aur nafas karne laga tangi
Shaikh Zahuruddin Hatim