kalam-e-saKHt kah kah kar wo kya hum par baraste hain
lab un ke lal hain par lal se patthar baraste hain
bana gar qatra wan gauhar to yan gauhar baraste hain
hamare dida-e-tar abr se behtar baraste hain
araq ruKH ka naqab-e-ruKH se jab Tapka to hum samjhe
ki mah par chha raha hai abr aur aKHtar baraste hain
jhapakna jis ne dekha ho teri palkon ka wo jaane
wagarna kaun mane gar kahun KHanjar baraste hain
tamasha dekh sailab-e-bahaari par hababon ka
uTha la shisha saqi abr se saghar baraste hain
tere dar par gada-o-shah ke ghash kha kha ke girne se
dil-o-jaan bahte phirte hain sar-o-afsar baraste hain
sarishk-e-chashm se nale rawan hote nahin dekhe
kahe kaun is ko rona dida-ha-e-tar baraste hain
jala KHirman to kya par jo dhuen uThte hain KHirman se
sitam hai ban ke baadal kisht-e-dushman par baraste hain
meri hasti magar fasl-e-bahaar-e-shoala hai 'nazim'
sharar phalte hain dagh ugte hain aur aKHgar baraste hain

Ghazal
Kalam-e-saKHt kah kah kar wo kya hum par baraste hain
Syed Yusuf Ali Khan Nazim