kal wasl mein bhi nind na aai tamam shab
ek ek baat par thi laDai tamam shab
ye bhi hai zulm to ki use wasl mein raha
zikr-e-tulu-e-subh-e-judai tamam shab
kis be-adab ko arz-e-hawas har nigah mein thi
aankh us ne bazm mein na uThai tamam shab
yan iltimas-e-shauq wahan ehtiraaz-e-naz
mushkil hui thi ohda-barai tamam shab
kya sar pe kohkan ke hui be-sutun se aaj
'mamnun' sada-e-tesha na aai tamam shab
Ghazal
Kal wasl mein bhi nind na aai tamam shab
Mamnoon Nizamuddin