kal to tere KHwabon ne mujh par yun arzani ki
sari hasrat nikal gai meri tan-asani ki
paDa hua hun sham se main usi bagh-e-taza mein
mujh mein shaKH nikal aai hai raat ki rani ki
is chaupal ke pas ek buDha bargad hota tha
ek alamat gum hai yahan se meri kahani ki
tum ne kuchh paDh kar phunka miTTi ke pyale mein
ya miTTi mein gundhi hui tasir hai pani ki
kya batlaun tum ko tum tak arz guzarne mein
dil ne apne aap se kitni khincha-tani ki
Ghazal
Kal to tere KHwabon ne mujh par yun arzani ki
Anjum Saleemi