kal talak jo tha tasawwur anjuman-araiyon ka
wo muqaddar ban gaya hai ab meri tanhaiyon ka
zindagani phir bikharne TuTne wali hai shayad
ai zamin phir aa gaya mausam teri angDaiyon ka
is jahan mein aaj jis ke sar pe taj-e-khusrawi hai
sara qissa bas isi ke nam hai danaiyon ka
aadmi mujh ko banaya hai unhi ruswaiyon ne
hai azal se sath mera aur meri ruswaiyon ka
ai 'wali' rishta samundar se hai dil ka kuchh yaqinan
koi andaza laga paya na un gahraiyon ka
Ghazal
Kal talak jo tha tasawwur anjuman-araiyon ka
Waliullah wali