kal tak us ki wo mehrbani thi
aaj dekha to sargirani thi
kiya ghamgin us ne hum ko nit
jis ke milne ki shadmani thi
go ba-zahir wo ghair se tha do-chaar
hum se bhi dosti nibhani thi
jal-bujhe tab khula patangon par
shama aur dosti zabani thi
aa gaya rahm us ke dil mein aah
hum ne yun apni marg Thani thi
so gaya sunte hi wo gham ki mere
sarguzisht us ke tain kahani thi
na 'jahandar' jaane tha ai 'mir'
dosti muddai-e-jaani thi
Ghazal
Kal tak uski wo mehrbani thi
Meerza Jawan Bakht Jahandar