kal tak kitne hangame the ab kitni KHamoshi hai
pahle duniya thi ghar mein ab duniya se ru-poshi hai
pal bhar jage gahri nind ka jhonka aaya Dub gae
koi ghaflat si ghaflat madhoshi si madhoshi hai
jitna pyar baDhaya hum se utna dard diya dil ko
jitne dur hue ho hum se utni ham-aghoshi hai
sab ko phul aur kaliyan banTo hum ko do sukhe patte
ye kaise tohfe lae ho ye kya barg-faroshi hai
rang-e-haqiqat kya ubhrega KHwab hi dekhte rahne se
jis ko tum koshish kahte ho wo to lazzat-koshi hai
hosh mein sab kuchh dekh ke bhi chup rahne ki majburi thi
kitni mani-KHez 'jamil' hamari ye be-hoshi hai
Ghazal
Kal tak kitne hangame the ab kitni KHamoshi hai
Jameel Malik