kal sin be-kal hai mera ji yar kun dekha na tha
kyun na howe betab dil dildar kun dekha na tha
hai baja gar howe ghazal-KHwan misl-e-bulbul dil mera
nau-bahaar-e-gulshan-e-didar kun dekha na tha
kyunki howe zahid-e-KHud-bin murid-e-zulf-e-yar
us ne sari umr mein zunnar kun dekha na tha
ab mushabbak ho gaya us tir-e-mizhgan ke tufail
jis dil-e-nazuk ne nok-e-KHar kun dekha na tha
abru-e-pur-chin kun tere dekh dil hairan hua
kya magar shamshir-e-jauhar-dar kun dekha na tha
sina-e-guldar mera us kun aaya hai pasand
yar ne shayad kabhi gulzar kun dekha na tha
dekh ashk-e-garm kun mere kaha us ne 'siraj'
main kabhi is abr-e-atish-bar kun dekha na tha
Ghazal
Kal sin be-kal hai mera ji yar kun dekha na tha
Siraj Aurangabadi