kal raat bahut zor tha sahil ki hawa mein
kuchh aur ubhar aain samundar se chaTanen
ek fasl ugi junhi zaminon pe suron ki
tarkash se gire tir fasilon se kamanen
mahsus hua aise ki chup-chap hain sab log
jab ghaur kiya hum ne to KHali thin niyamen
tum habs ke mausam ko zara aur baDha lo
be-samt na ho jaen parindon ki uDanen
kyun honT pe daryuza-gar-e-saut-o-sada hain
jo aahaTen be-nam huin dast-e-dua mein
Ghazal
Kal raat bahut zor tha sahil ki hawa mein
Zahid Masood